NFT a Scam? (HIndi/हिन्दी )

NFT a Scam? (HIndi/हिन्दी )

 NFT a scam?


Vikram naam ka mera ek dost jisne apni ek random photo ko pixelate kiya, or usse $5 me as an NFT bech diya. 


Ab ap sirf imagine karo, apke phone me mojud har photo, video, or screenshot ke apko $5 mily to apke pass kitne paise honge. 


(Paisa hi paisa meme)


Agar apne calculate kiya to comment me batana. 


Par herani ki baat hai ki akhir ye NFT hai kya?


Ek esi industry jisme Salman khan se leke logan paul sab invested the, jisko world ki next big thing kahan jata tha, 


Jahan NFT collector, 


NFT trader, 


NFT creator 


NFT expert naam ke career ban gae the.


<Sab ese shant ho gae jese, “Exam kesa gaya puchne ke bad, ap>


Ajj ye market 92% se jiyada crash kr gaya hai. Magar kyu? 


Aj hum is video me janege 


  1. NFT hai kya

  2. <Log iske piche itne pagal kyu ho gae> or <how people were fooled> or ,<why people were fooled> or <how people got tricked>

  3. How this bubble popped 

  4. Logo ne kya khoya

  5. Or isme na invest krke apne kya paya

  6. Or NFT crash ki ek esi wajh jo NFT ya crypto se related bhi nahi hai. 



In short, kisne kya paya or hum sab ne kya khoya. 

What is NFT?


NFT Yani Non-fungible token. 


Fungible ka mutlab replaceable, or token ka mutlab digital asset


To non-fungible token ka multb ,Ek esi digital asset jo ki apni tarah ka sirf ek hai or jisse replace nahi kiya ja sakta. 


Jese apki koi T-Shirt, wo replaceable hai, kyuki esi bohot sari tshirts bani hongi. 


Par agar ap us t shirt pe apne hath se fabric art bnade. Ab wo unique ho gai.


Usse koi dusra copy nahi kr sakta. 


And you have your NFT.


NFT esa kese krta hai? kyuki har NFT ko certify kiya jata hai blockchain ke through.  NFT ko jabse internet par uplord kiya gaya hai, wahan se leke ab wo NFT kiski ownership me hai sab kuch verify or certify kiya jata hai. 


Ab aisa nahi hai ki ap us NFT ko simply download nahi kr sakte, ya kahi uplord nahi kr sakte. But blockchain tokenization ki help se humko ye pata chal jaega ki is art ki ownership kiski hai. 


Or ye NFT kuch bhi ho sakta hai. 


Jese Twitter ke founder ka pehela tweet, ya logan paul ke purchase ki gai

 bumble be ki photo. 


Ek billi ka gif, ya fir ek random ladke ki selfie






Or apko kesa lagega agar main apko btau ki abhi jin chezo ki maine baat ki unki collective value 4.5 million yani 36 crore rupee se bhi jyada hai. 


Aapne thik suna ek ladke ki random selfies' collection bhi as an NFT 1.2 million dollars me biki.


Ab ap soch rahe honge ki log ne esi random cheeze kyu purchase ki hui hai. 


Why people went crazy for NFT


 Apko lag raha hoga ki ye sb log to stupid hain, jinhone ese hi random cheeze kharid li. 


But iske piche 7 reasons hain. 


1. Exclusivity

2. Influence

3. FOMO of next big thing

4. Change in social behavior

5. Sense of belongingness

6. Investments

7. False marketing


  1. Exclusivity


Jab bhi kisi cheez ke sath exclusive jud jata hai to  Mega rich uske sath apna naam associate krna chahte hain. Jese Twitter ka pehela tweet ek Malaysian businessman ne approximately 3 million dollars($2,978,135.47) me kharida tha. 


But NFT or actual art me farak ye hai ki actual art ko ap touch kr sakte ho, logo ko usse apne ghar me laga hua dikha sakte ho. 


Jabki NFT sirf internet me ek digital asset hai. Par shaid Elon Musk jese entrepreneur se leke salmaan khan jese bade logo ke involvement ne logo ko influence kr diya


2. Influence


Jab salmaan khan ne apne NFT platform ke liye apni cryptocurrency Bollycoin ki announcement ki to sirf 7 ghante main 2 crore bolly coin bik gaye. Or yahi power hoti hai influencer ki. 


Jahan hum brand se nahi logo se influence hote hain. Jahan logo ko lgta hai ki ye celebrity bol raha hai to thik hi hoga. 


We trust the person, not the brand. Jahan salman khan ka clothing brand being human sirf salman khan ke naam se chal raha hai. Wahan unke naam se unke Bollycoins bhi bikke. Or aj ye coin apni listed value se 95% se bhi jiyada down aa chukka hai. 



Or jab itne familiar naam involve ho jate hain, to mun ka thora bohot doubt ko bhi hum samjha lete hain.


Why? 


Fear of missing out


3.  FOMO


<Aapne esa kitni baar socha hoga ki kash mujhe time machine mil jati to past main jake apple, google jessi companies ke share saste main kharid leta. >


Or 


<Aapne apne ghar walo ko kehate suna hoga ki beta kai saal pehale ye zameen kodiyo ke bhav me bik rahi thi, or aj ye carodo ki ho gai hai. Agar us time par isse kharid lete to hum bhi kai carodo ke malik hote. >


Feeling of regret bohot strong hoti hai, or regret ko leke hum sabke bure experiences bhi rahe hain


Or esa hi kuch logo ke sath hua, unhe laga ki ye ek next big thing ki shuruat hai. Jiska hissa banne ke liye har koi pagal ho gaya. 


Or jese dot com bubble main, sirf apki ek website hone se hi log millions of dollars ki funding utha rahe the, ese hi NFT bubble me log sirf word NFT associate hone se kuch bhi karid rahe the. 


Or ye humne humare badalte social behavior ke bare main bhi btata hai. 


4.  Change in our social behavior


Kya aapko yaad hai ke pehli baar online transaction se pehle ap kitna darr rahe the. Par ab shayad apko wo darr nahi hai. 


Kyuki 


Humari ziyada shopping offline se ziyada online shift ho rahi hai. Or sath hi sath Humare purchases physical cheezo se digital cheezo pe shift ho rahe hain. Or isi ke sath cheezo ko value krne ki humari psychology bhi change ho rahi hai. 


Iska sabse simple example hai “kindle” jahan log physical books ki jagh digital books purchase krte hain 


Isi liye NFTs ko kharidte hue logo ne ziyada socha nahi, kyuki ye bilkul online shopping jesa tha. 


Or ek nai cheez ka hissa hone ka moka bhi mil raha tha. Or yahi hai hamara next point. 


5. Sense of belongingness


NFT ke sath ati hai ek community ka hissa hone ki feeling. Ek community jo futuristic soch rakhti hai. 


Wo community jo ane wali duniya ko badalegi, Basically a feeling of being from the top elite in the hierarchy. 


Or yahi marketing technique, NFT main bhar bhar ke use hui. Yahan NFT ko NFT projects naam ki term se promote kiya gaya. 


Or in NFT projects ke around exclusive clubs or community banai gai. Both online and offline. But eventually it was just a bubble. 


But before that logo ko ye ek achi investment opportunity bhi lagi. 


6. Investment


Bilkul jese hum ajj share kharid rahe hain future me bechne ke liye. Logo ne NFT kharide future main unhe ache price par sell karne ke liye. 


Jahan Sina estavi ne jack dorse ka first tweet 2.9 million dollars me khadita, or unko umeed thi ki ye NFT lag bhag 50 Million me bikega. 


Kya ap guess kar sakte hain, us NFT ki value auction me kitni lagai gai. Sirf $280 dollars. 


Itni jiyada value ki drop ke bad bhi logo ne NFT ka picha kyu nahi chora. The answer is false marketing


7. False marketing


<Jahan  NFT projects, Metaverse,  Air drop, Gas fees, blockchain jese fancy  terms ek dum se market me aa gai or logo ko laga ki agar is industry ki alag terminologies hi create ho gai hain, to ye zarur koi bahut trusted cheez hi hai. >


Or


<Jese purani gadi ko naya dikhane ke liye, uspe new paint ki coating ki jati hai. Wese hi NFT ko chamkane ke liye airdrop, gas fees. Jese fancy terms ki courting ki gai. >


Jesa log kehete hain ki agar koi english me bol raha hai to thik hi bol raha hoga. 


(Dekh raha hai binod meme)



Ab jante hain ki bubble pop kese hua. 



Iska jawab simple hai. Logo ko wo baat samjh aa gai jo ap log is video ki starting se samjh gae the. 


Ki NFT does not serve any purpose. Tweeter ka first tweet to hai. But uski value hai kya? 


Ek random insaan ki selfie se mera kya faida


(Mera kay faida meme)


Par jab tk logo ko ye simple si baat samjh ati, it was too late. Kyuki ajj NFT market 92% se bhi ziyada crash kr chukki hai. 


Or jese lockdown ke bad ab “ZOOM” ko koi nhi puchta, wese hi NFT ki practical applications samjhne ke bad logo ne socha ki ye actually main hai kya? Or jawab tha “kuch nahi “


(Khatm tata good buy gaya meme)


But kya NFT ka sach me koi practical use case nhi hai? 


Jawab hai bilkul hai. 



  1. Isse artist ko apne art ko monetize krne ka ek or tarika mila. 


  1. NFT ki help se artist ke liye contract ka junjat kum ho gaya. Kyuki Blockchain pe hi sari transaction or records hamesha safe rehenge. 


To agar kisi artist ko apna song kisi ko bechna hai, wo artist simply uska NFT banega or uski ownership transfer kr dega. 


  1. Logo ko ab ye proof nahi krna hoga ki art ka asli cretor kon hai. 


  1. Manlo ki apne online ek movie ki ticket kharidi. Par kisi ne us ticket ka screenshot leke apki jagh movie dekhne pahunch gaya. 


Par wo insaan movie dekh nahi payga. Kyuki us ticket ki NFT apke naam par hai. Isi liye duniya me koi bhi us ticket ka misuse kr hi nahi sakta. 


Or ese hi NFTs ke bahut sare practical applications bhi hai. 


Jese ap us movie ticket ki ownership kisi or ko bech sakte ho. 


Par logo ne inhe samjhne me dair kardi. 


Duniya ne kya khoya


  1. Credibility


Jis kisi ne bhi NFT ko promote kiya tha unhone apni audience ke aage apni credibility khodi. Jahan ek brand banane me salo ka time, andha paisa or ek marketing or PR team lagti hai.


Logo ne wo brand value raato raat kho di. 


Kai celebrities ne apni NFT’s ko promote karne ke liye, apne sath ek photo khichne ka moka, apne sath party kearne ka moka jesi hooks deke apne NFT’s beche. 


Or ab logo ko ek pump and dump scheme ka victim jesa feel ho raha hai. Kya ap kabhi ese kisi insaan par trust kr paoge? 



  1. Opportunity cost


Jahan pehele logo ko apni art ke liye sirf appreciation milta tha, ab un logo ko uske paise mil sakte hain. 


Yahi soch kar mere kai dosto ne apni job chodkar NFT create krke bohot paisa banaya. Trust me unka ek ek digital art 5-10 hazar main bika. 


But ye effect sirf NFT bubble tk hi tha. 


Ajj jahan kai logo ko fire kr diya gaya hai. Ab ese hi NFT creator dobara job dhundne ko majboor hain. 


But usse bhi badi pareshani ye hai ki wo log apne is job gap ko justify bhi nahi kr pa rahe hain. 


Kyuki Ab wo apne resume pr kya likhe that “I was an NFT creator?


(Can integrate a sponser like Relevel to help people find jobs)


  1. Monetary loss


Ab ye to self-explanatory hai, jab NFT market 92% se jiyada crash kr chuka hai, to loss ka number hum sirf imagine hi kr sakte hain. 


Jahan bade bade celebrities jese salman khan, Amitabh Bachan, sunny leone ne apne NFTs launch kiye the. 


Par iske baare main koi baat nahi karna chahta. Ye cheez itni jiyada khamoshi se shant ho gai ki shayad is video se pehele apne inke bare me suna bhi nahi hoga. 

Par fir bhi agar apne NFT me invest kiya ho ya na kiya ho. Chahe apne NFT ke bare main kabhi suna bhi na ho. Par ek nuksan hai jo as humans hum sab ka hua. Or wo hai…


4. Environmental loss. 


Apko btadu ki lag bhag sare NFT ethereum cryptocurrency se kharide jate hain.


 Or ye ethereum network ese algorithm ka use karta hai jo bahaut power hungary hain. Millions of micro calculations day and night. 


 Or electricity banti kese hai? Mostly fossil fuels jalake. 


Kitni electricity? Ye batane ke liye main koi number nahi apko ek comparison batauga. 


Ek saal Ethereum network jitni electricity use krta hai, utni electricity Nigeria jese pure desh ko ek saal tk bijli de sakti hai. 


Apko ek or example deta hun, jisko aap personal level par or ache se samajh paoge. 


Joanie lemercier naam ke ek french digital artist ne NFT bechna band kr diya jab unhe ye baat pata lagi ki jitni electricity Ethereum network sirf 10 second main use karta hai utne main to unka pura studio 2 saal tk chal sakta hai. 



How you were saved



Paytm ka share agar bura perform kr rha hai to tum apna share market me jab cahe bech sakte ho. Par NFT ke sath esa nahi hai. Jab tk tumko koi buyer nahi milta, tb tk tum sirf apne paise ko gayab hota dekh sakte ho. Kyuki ajj ki date me NFT market main 5:1 ka ratio hai. 


Matlab agar bechne ke liye 5 log hain, par kharidne wala sirf ek. Or ye number tezi se badal raha hai. 


Second cheez


Kya tum esi cheez me invest krke khush hote, Jahan cheez 1000 $ ki ho ya 1$ ki uski transaction krne me hi tumko $100 -$ 200 dollar pay krne padege. And this is called gas fees. 


Gas fees koi fixed amount nahi hota. Jab bhi demand jayada hai, to yeh gas fees $500 tk bhi ja sakt  hai, no matter agar tumhara NFT 5 rupee ka bhi nahi bika ho. 


Conclusion


Agar is puri video ko conclude karu to itna kahunga, ki logo ne NFT ko sentimental value se judge kiya. Or ye bohot subjective cheez hai.


 Yaad hai wo example jo maine apko video ki starting me diya tha. Wo t-shirt jispe apne apne hatho se paint kiya tha. Wo apke liye kitni bhi value rakh sakti hai, par kya esa same koi anjaan insan bhi feel karega? 




Ese hi jack dorsey ka tweet kisi ke liye 2.9 million dollars ka tha. But ye cheez apne parents ke puchana ki kya ap ek 5 words ki photo ke liye 2 crore 26 lakh kharach karoge? Unka jawab kya tha comments me batana. 


Agar logo ne NFT ki utility ko samjh ke unhe kharida hota to shaid aj 92% se ziyada market crash na krta. 


Jahan Crypto market hi crash kar gaya wahan NFT ka crash hona to banta hi tha? 


Par kya NFT ke crash ke piche sirf CRYPTO ka hath hai. Answer is NO. 


Or ab hum ate hai is video ke last point pe. 

Logo ka trust ek dum se drop kyu hua


Surprisingly, Facebook (Meta) ki wajha se. 


NFT ki value logo ke liye metaverse se correlate krti hai, but jab logo ne dekha ki jese graphics meta ne promise kiye the, actul metaverse uska ¼ bhi nahi hai. 


Agar apne kabhi meta verse visit kiya hai to apko esa lagega jese aap kisi 90’s ki video game me aa gaye hain. But ye to game bhi nahi hai.  


Or jis cheez ke liye logo ne nft kharide the jab wo hi taiyar nahi hai, to ye obvious tha ki logo ka puree NFT ke concept se hi bharosa uth gaya. 


Kyuki jis quality ke NFT logo ne kharide or beche, us level ki development META ne abhi ki hi nahi hai. 


Ye bilkul esa hai jese apne 5 hazar ki PS5 ki ek game kharidi but usse apko PS2 par khelna pad raha hai. 


Meta verse is nothing more than like an RPG game.